Monday 4 July 2011

Yeh Dosti Hum Na Kabhi Bhul Payenge...........................


Jindagi thi,par nahi Thi usme jaan,
Dimaag tha,par main tha duniya se anjaan,
Dil Tha,par tha main  pyar se nakkam,
Na tha naam,na koi pehchaan
Yeh teri dosti thi,jisne di jindagi mein jaan,
Yeh Dosti hum na kabhi bhul payenge,
Tod sakte hain nata jindagi se,
Par tumse na kabhi tod payenge.

Future tha,par nahi tha koi Arman,
Present ne kar  rakha tha pura jindagi nakam,
Bhatak raha tha main idhar se udhar,
Na jane mujhe jana tha Kidhar??
Kho Gaya tha main banke ek gumnaam,
Tune hi tab Akar Thama Tha Mera Hath,
Deke use dosti ka ek Naam.
Yeh Dosti hum na kabhi bhul payenge,
Tod sakte hain nata jindagi se,
Par tumse na kabhi tod payenge.

Tujh jaisa Dost mila,yeh thi Meri Kismat,
Tune mujhe Jaise Ko jhela Yeh thi Teri himmat.
Man karta Hay,mera Sab kuch kar tere naam,
Tere Sath ke bin,nahi hay yeh jindagi ka koi kaam.
Yeh teri dosti thi,jisne di jindagi mein jaan,
Yeh Dosti hum na kabhi bhul payenge,
Tod sakte hain nata jindagi se,
Par tumse na kabhi tod payenge.

No comments:

Post a Comment