Sunday 27 July 2014

Kash Mera Koi naam na hota.....

Kash Mera Koi naam na hota.....
Na mein koi majhab ka hota....
Pata nahi tab jindagi kitna gazab ka hota...
Chehre par hamesha ek muskan sa hota...
Bas Usi se mera pehchan sa hota......
Kash Mera Koi naam na hota.....
Pata nahi tab jindagi kitna gazab ka hota...!!


Na mein Bhagwan ka hota,na Allah ka hota...
Nahi  Sikh ka hota aur nahi Isayi ka hota...
Sirf aur Sirf Insaan ka hota....
Har jagah bas Insaniyat ki bij sa bota...
Kash Mera Koi naam na hota.....
Pata nahi tab jindagi kitna gazab ka hota...!!


Pyar hi pyar lutata mein bas....
Mujhe na koi rok sa hota.....
Har jagah Pyar ki khusbu.....
Jindagi mera khusiyal sa hota...
Kash Mera Koi naam na hota.....
Pata nahi tab jindagi kitna gazab ka hota...!!


Na koi jang,na koi malang.....
Na apno se juda hone ka gam sa hota......
Har jagah bas santi hi santi sa hota...
 Kash Sab kuch agar Aisa hi  hota....
Mera bharat mahan sa hota...!!!

No comments:

Post a Comment